Zukham muskaratay hain ab bhi teri aahat par
dard bhool jatay hain ab bhi tairi aahat par
Shubnami sitaroo main phool khilnay lagtay hain
chand muskaratay hain ab bhi tairi aahat par
Umer kaat di liken buchpana nahi jata hai
hum diyay jalatay hain ab bhi tairi aahat par
Ghunteiya si bujti hain ruqs honay lagta hain
dard jugmagatay hain ab bhi tairi aahat par
Tairi yaad aaein tou neend jati rehti hai
khawab toot jatay hain ab bhi tairi aahat par
Jo situm karay tou sub qubool hain dil ko
hum khushi munatay hain ab bhi tairi aahat par
Ab bhi tairi aahat par chand muskarata hai
khawab gungunatay hain ab bhi tairi aahat par
Tairay hijjar main hum par ek azab tari hai
chonk chonk jatay hain ab bhi tairi aahat par
Dastakeen sajanay kay manzar nahi rahtay
rastay sajatay hain ab bhi tairi aahat par
Ab bhi tairi aahat par aas lout aati hain
hum diyay jalatay hain ab bhi tairi aahat par...
0 comments:
Post a Comment
http://merichahatein.blogspot.com/