Saturday, 9 March 2013
Zukham Muskaratay Hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Zukham muskaratay hain ab bhi teri aahat par dard bhool jatay hain ab bhi tairi aahat par Shubnami sitaroo main phool khilnay lagtay hain chand muskaratay hain ab bhi tairi aahat par Umer kaat di liken buchpana nahi jata hai hum diyay jalatay hain ab bhi tairi aahat par Ghunteiya si bujti hain ruqs honay lagta hain dard jugmagatay hain ab bhi tairi aahat par Tairi yaad aaein tou neend jati rehti hai khawab toot jatay hain ab bhi tairi aahat par Jo situm karay tou sub qubool hain dil ko hum khushi munatay hain ab bhi tairi aahat par Ab bhi tairi aahat par chand muskarata hai khawab gungunatay hain ab bhi tairi aahat par Tairay hijjar main hum par ek azab tari hai chonk chonk jatay hain ab bhi tairi aahat par Dastakeen sajanay kay manzar nahi rahtay rastay sajatay hain ab bhi tairi aahat par Ab bhi tairi aahat par aas lout aati hain hum diyay jalatay hain ab bhi tairi aahat par...
0 comments:
Post a Comment
http://merichahatein.blogspot.com/