Friday, 29 August 2014
Ek Dil Hy Jese Koi Haweli Purani Hy
Safar Raat Ka Hy OR Raat Bi Tufani Hy
Samandr Hi Samandr Hy Kashti Bi Doob Jani Hy
Ibteda-e-Ishq Se Inteha-e-Ishq Tak
Main Hi Tha Bewafa OR Mainne Hi Wafa Nibhani Hy
Main Lot aya Hoon Manzil Ko Dekh kar
Yahan To Yadon ki Verani Hi Verani Hy
Ye Intzar Khatam Q Nahi Hota Kis Se Pochon
Kya koi manzil mera muqadar hy Ya yehi meri adhori kahani hy?
Thursday, 28 August 2014
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,
Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,
Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,
Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,
“Hasnain” Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum .
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai
Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai
Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai
Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai
Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai
Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai —
Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar
Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para
Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar
Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha
Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar
Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila
Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar
Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura
Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar
Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar
Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar —
Khataa har kisi se hoti hai aur wafa kisi se nhi
Wednesday, 27 August 2014
Tumhen Hum Khoo Chukay Lekin,
Tumhri Yad Ab Tak Bhi,
Hamain Betaab Rakhti Hai,
Hamari Sans Ab Tak Bhi,
Tumhari Aas Rakhti Hai,
Magar Ab Ye Bhi Suntay Hain,
Tumhari Raah Roshan Hai,
Tumhen Bhi Mil Gaya Koi,
Magr Afsos,
Hum Jesa,
Agar Pao Kahin Tum To,
Mujhe Doo Harf Likh Dena,
Ke,
Manzil Mil Gai Mujhko..!!
Monday, 25 August 2014
Sunday, 24 August 2014
Saturday, 23 August 2014
Log Mujh Se Mil Kr Bichar Jaty Hain
Is Liye Main Logon Se ab Door Rehti Hon
Mat Samjho K Aty Nahi Adaab-e-Mulaqat Mujhy
Khaloos Ka paikr Hon Aadat Se Majboor Rehti Hon
Jin Se Barha Mera Rabta Gham Hi Mila
Ab Rabta Nahi Barhati Bohat Masroof Rehti Hon
Log Mujhy Kehty Hain Be'Murawat Or Khud Gharz,,
" Kitny achy Namoon se Mash'hoor rehti hon
" Har Waqt khoyi Rehti hon khud Ki talash men,,
" Boht toot gayi Hon ab 'apnon' se door rehti hoon"
Beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se,
Karta hon yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aaah si uthti hai mere seeney mein,
Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab,
Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,
Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,
Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain,
Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se..
("Beautifull Dua")
"Tumhe Kbi Na Koi Dukh Mile",
"Tumhe Zindgi Ka Hr Sukh Mile",
"Tmhara Dil Na Ho Kbi Khafa",
"Tm Muskrate Rho Sada",
"Mene Mangi Hy Tmhare Liye Ye Dua",
"K",
"Allah Raheem Tum Pr Reham Kre Aur",
"Dekhaye Tum Ko Roza ay Mustafa
Tmhare Ghr Me B Sakoon Ho",
"Aur Tal Jaye Har Bala",
"Boht Rehman Hy Mera Khuda",
"Kre Ga Qabool Meri Dua",
"K Tmhe Zindgi Ka Hr Sukh Mile",
"Na Tmhe Kbi Koi Dukh Mile".
"AAMEEN" SUBHA BAKHAIR;;;;;;; HAVE A GOOOOD DAY;;;,,;;
ASSALAM-O-ALIKUM ;;;,,,;
Friday, 22 August 2014
Thursday, 21 August 2014
Ye Dil Ke Tere Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai
Ye Sheher Kisi Aina Kirdaar Badan Par
ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai
Ik Umar Se Hum Is Ki Tamanna Mai Hain Be-Khwaab
Wo Chaand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai
Phir Dil Mein Teri Yaad Ke Manzar Hain Firozaan
Aisay Mein Koi Dekhnay Waala Bhi Nahi Hai
Is Umar Ke Sehra Main Teri Yaad Ka Baadal
Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai
Hamraah Bhi khwaahish Se Nahi Rehta Hamare
Aur Baam-e-Rafaaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai…..! .
Tuesday, 19 August 2014
Magar Ye Bat Sub K Samnay Kehna Bhi Mushkil Hai,
Har Ek Shay Tham Gai Hai, Sans Bhi Ankhon Ka Pani Bhi,
K Ab To Ansoo Ka Ankh Se Behna Bhi Mushkil Hai,
Baja Hai Zulum Hai Tera, Magar Ay Sheher Ke Hakim,
Sitam Haad Se Guzar Jaye To Phir Sehna Bhi Mushkil Hai,
Hai Dor e Maslehat Har Su , Gharz ka Dor Doura Hai,
Galat Ko Is Zamany Main Galat Kehna Bhi Mushkil Hai,
Lutairoooon K liye Aye Roshni Jannat Hai Ye Dharti,
Yahan Hasas Insan K Liye Rehna Bhi Mushkil Hai, —
Yehi Hum Sochte Thy Aaj Se Kuch Saal Pehle Bhi
Rida-e-Khuwab Se Bahir Nahi Nikle Hain Hum Ab Tak
Sitaron Se Bhari Orhe Howe Thy Shaal Pehle Bhi
Issi Daman Se Aanshu Pochte Thy Khalawton Main Hum
Issi Mitti Main Rulte Thy Humare Laal Pehle Bhi
Dar-o-devaar He Sunte Thy Sare Shehar ke Dharke
Yehi Tha Damaein-e-mohtaram Ka Kaal Pehle Bhi
Yehi Daman Tha Jiski Dhagiyon per Sher Likhte Thy
Humara Shehar Main Tha "Meer" Jesa Haal Pehle Bhi
Ye Ishq Aarzoo Se Pehle Bhi Galiyon Mai Phiraata Tha
Galay Ka Touq Tha Kambakht Ye Janjaal Pehle Bhi
Nai Ab Konsi Haalaat Ki Surat Nikal Aayi ?
Yehi Hum Thy, Yehi Tum Thy, Yehi Ehwaal Pehle Bhi —
Sunday, 17 August 2014
Saturday, 16 August 2014
Friday, 15 August 2014
Sunday, 10 August 2014
Saturday, 9 August 2014
Khud Ko Kuch Is Terha Se Saza Dene Laga Hoon
Pathar Ki Terha Se Hoon Kabhi Ye Gumaan Bhi Tha
Zard Patto’n Ki Terha Se Roz Bikherne Laga Hoon
Kaash Mujhe Bhi Maire Hissay Ka Pyar Mil Jaye
Isi Aas Par Ab Man Yahan Jeenay Laga Hoon
Koi Nahi Marta Kisi K Bagair Kabhi Ye Kaha Tha
Din Raat Ye Hi Soch Ker Ab Marne Laga Hoon
Tum Ne Kaha Tha Koi Juda Nahi Ker Sakta Humain
Ab Ye Hi Dua Main Bhi Kerne Laga Hoon —
Khud Ko Kuch Is Terha Se Saza Dene Laga Hoon
Pathar Ki Terha Se Hoon Kabhi Ye Gumaan Bhi Tha
Zard Patto’n Ki Terha Se Roz Bikherne Laga Hoon
Kaash Mujhe Bhi Maire Hissay Ka Pyar Mil Jaye
Isi Aas Par Ab Man Yahan Jeenay Laga Hoon
Koi Nahi Marta Kisi K Bagair Kabhi Ye Kaha Tha
Din Raat Ye Hi Soch Ker Ab Marne Laga Hoon
Tum Ne Kaha Tha Koi Juda Nahi Ker Sakta Humain
Ab Ye Hi Dua Main Bhi Kerne Laga Hoon —