Top Ad 728x90

Thursday, 31 October 2013

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..

by
Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati..

Ab Umar' Na Mosam' Na Woh Rasty Keh Palat-Tay..
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati..

Aya Koi Aaker Ya Tere Dard Sambhaley..
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati..

Malum Humay Bhe Haan Bohat Se Tery Qisay..
Har Baat Teri Hum Sai Uchali Nahe Jati..

Humrah Tere Phool Khilati Thii' Jo Dil Mein..
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati..

Hum Jaan Sai Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi..
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati..

Tuesday, 29 October 2013

Main Apni Raato?

by
Main Apni Raato?n K
i
Fursato?n Main
Tujhy Manao?n
Tou Maan Jana

Agar Kisi Din Main Apne
Aanshu Jo Le Ker Aao?n

Tou Maan Jana

Ye Ek Dil Jo Tumhai?n Dia Tha
Is ko bhi Tum ne Tor Dala

Shikista Dil Ki Jo
Khirchio?n Ko Samait Lao?n

Tou Maan Jana

Tu Khush Nahi Hai
Meri Baqa Par Tou
Sirf Itna Bata

Teri Khushi K Liye
Jo Suuli Pe Muskurao?n

Tou Maan Jana

Tu Badguman Hai Meri
Wafa Par Tou Sirf

Ek Baar Azma Le

Jo Haar Jao?n
tou Laut Jana
Jo Jeet Jao?n
Tou Maan Jana ? 

Mera Sochna Teri Zaat Tak Meri Guftagu Teri Baat Tak

by
Mera Sochna Teri Zaat Tak
Meri Guftagu Teri Baat Tak

Na Tum Milo Jo Kabi Mujy
Mera Dhondna Tujy Par Tak

Main Ny Apna Sab Kuch Ganwa Dia
Teri Nafraton Sy Payar Tak

Kabi Fursat Jo Mily To Aa
Meri Zindage K Hisar Tak

Main Ny Jana K Main Kuch Nahi
Tery Pehal Sy Tery Bad Tak. 

Agar Kisi Din Main Apne Aanshu Jo Le Ker Aao?

by
Main Apni Raato?n Ki
Fursato?n Main
Tujhy Manao?n
Tou Maan Jana

Agar Kisi Din Main Apne
Aanshu Jo Le Ker Aao?n

Tou Maan Jana

Ye Ek Dil Jo Tumhai?n Dia Tha
Is ko bhi Tum ne Tor Dala

Shikista Dil Ki Jo
Khirchio?n Ko Samait Lao?n

Tou Maan Jana

Tu Khush Nahi Hai
Meri Baqa Par Tou
Sirf Itna Bata

Teri Khushi K Liye
Jo Suuli Pe Muskurao?n

Tou Maan Jana

Tu Badguman Hai Meri
Wafa Par Tou Sirf

Ek Baar Azma Le

Jo Haar Jao?n
tou Laut Jana
Jo Jeet Jao?n
Tou Maan Jana ? 

==*==Kyun nahi detay==*==

by
==*==Kyun nahi detay==*==

Khamosh ho kyun, daad-e-wafa kyun nahi detay
Bismil ho to kaatil ko duwa kyun nahi detay

Vahaashat ka sabab ruuzan-e-zindaan to nahi hai
Mahar-o-maah-o-Anjum ko bujha kyun nahi detay

Ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Ay chaaragaaro dard barha kyun nahi detay

Munsif ho agar tum to kub insaaf karoge
Mujrim hai agar hum to sazza kyun nahi dete

Rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi
Rahabar ho to manzil ka pataa kyuun nahi dete

Kya beet gai ab ke Faraz ahal-e-chaman par
Yaaran-e-qafas mujhko sada kyun nahi dete

Asar dil per karay shikwa, shikayat ho to aisi ho.!

by
Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.

Monday, 28 October 2013

I love the way you look at me,

by
I love the way you look at me,
Your eyes so bright and blue.
I love the way you kiss me,
Your lips so soft and smooth.

I love the way you make me so happy,
And the ways you show you care.
I love the way you say, "I Love You,"
And the way you're always there.

I love the way you touch me,
Always sending chills down my spine.
I love that you are with me,
And glad that you are mine...........

Bas Ek Choti Si Haan Kar Do,

by
Bas Ek Choti Si Haan Kar Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kar Do...!!!

Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zubaan Par Laao 0r Bayan Kar Do...!!!

Aaj Bas Aap Kaho 0r Kehte Hi Jaao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kar Do...!!!

Huyi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kar Do...!!!

Aa Jaao Ke Aisa Toot Kar Chahoon Tumhe,
Hamari Mohabbat Ko, Mohabbat Ka Nishan Kr Do...!!!

Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujhKo,
Rahoon Humesha Isi mein aisa Mera Makan kar Do...!!!

Chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam

by
chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam
bahar-e-bag to yun hi rahi lekin kidhar shabnam

arq ki bund us ki zulf se rukhsar par tapki
tajub ki hai jage ye pari khurshid par shabnam

hamain to bag tujh bin khana-e-matam nazar aya
idhar gul pharte the jab, roti thi udhar shabnam

kare hai kuch na kuch tasir sohbat saf tabon ki
hui atish se gul ke baithate rashq-e-sharar shabnam

bhala tuk subah hone do ise bhi dekh lewenge
kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam

nahin asbab kuch lazim subak saron ke uthne ko
gai ur dekhte apne bagair az bal-o-par shabnam

na paya jo gaya is bag se hargiz surag uska
na palti phir saba idhar, na phir ai nazar shabnam

na samjha Dard hamne bhed yan ki shadi-o-gam ka
sahar khandan hai kyon roti hai kis ko yak kar shabnam..

Sunday, 27 October 2013

Ehwaal-e-Gham-e-Zaat Sunaany se Raha Main

by
Ehwaal-e-Gham-e-Zaat Sunaany se Raha Main
Ab Khud Ko Tamasha to Banaany se Raha Main

Hr Baar Main Tazleel-e-Anaa Kr Nahi skta
Hr Baar to ab Ja K Manaany se Raha Main

Ehsaan Ka Mafhoom hai Aankhein Na Milana
Ehsaan Kisi Ka B Uthaany se Raha Main

Jo Zakhm Rafeeqo'n K Rawaiyo'n se Lagy hain
Wo Zakhm Kisi Ko B Dikhaany se Raha Main

Dariya hon to Dariya hi Usy Paish Karonga
Piyasy Ko Samandar to Pilaany se Raha Main. . .

Saturday, 26 October 2013

Tu" Lafzon" Ki Tarha Mujh Se"Kitabon" Mein Mila Kar,

by
Tu" Lafzon" Ki Tarha Mujh Se"Kitabon" Mein Mila Kar,
"Logon Ka Tujhe "Dar" Hai Tu"Khwabon" Mein Mila Kar,

"Phool Ka "Khushboo" Se "Taluk" Hai Zarori,
"Tu "Mehak" Ban Kar Mujh Se"Gulabon" Mein Mila Kar,

Jise "Chhu" Kar Main "Mehsos" Kar Sakon,
"Tu "Masti" Ki Tarha Mujh Se"Sharabon" Mein Mila Kar,

Main Bhi "Insan" Hon, Hai Dar Mujh Ko Bhi "Behakne" Ka,
"Es "Waste" Tu Mujh Se "Hijabon" Mein Mila Kar..!! 

Brooding images

by
Brooding images

It was a time when I
Did not discern my inner self
Child growing under parent's wings
Protected ,cared for in daydreaming state
Not noticing my mother's failing health
The father's drunken sprees

Dolls,movies, books,whole world was a playground
I often catch myself to stare at kiddies games
From age height grinning knowingly and sad
The road I chose(or destiny rolled dice)full of thorns
Left blemishes ,branding their marks forever on my mind
Children in the park enjoying, screaming ,driving crazy moms
Unaware that moments of the heedless fun will not repeat
They exist here ,now only already becoming past
Sand granules sliding through the palms
Into warm bosom of the earth

I guess I am brooding over things
Not capable to change ,putting in reversing mode
The images stand up in cavalry line up
The Andersen fairy tales book , huge china yellow roses
On living room's wallpaper,the piano lessons(hated them)
Sleeping on the balcony in summertime
Yes had no sense of who I am ,just lived
Jumbling reality and dreamland into unmixed mix
What a misnomer..fool I am not(anymore)
Yet did not grow old ..grew young (silly,greenish apple)

by Margaret Gudkov
art by Andrea Banjac

Thursday, 24 October 2013

'Adhuri batein jo kar gaye ho!

by
'Adhuri batein jo kar gaye ho! 
Mery hi Dil me utar gye ho, 
Kis ki chahat ka ye asar hy? 
K reza reza bikhar gye ho! 
Tumhi to ho jo hamary Dil ki, 
Hadon ko cho kr guzar gye ho! 
Hmara thamoh gy hath kya tm?
Abhi zamany se Dar gye ho!
Chaly gye ho nazar jhuka k,
Hmey Deewana sa kr gye ho!
Bhool baithy ho Ehad sary,
Abhi se Q tum mukar gaye ho,
Dhoondti hy yeh Nazar tum ko,
Aa bhi jao,kidhar gaye ho?

Wednesday, 23 October 2013

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,

by
Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,

Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo,
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,

Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,

Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,

Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera,
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo….!!!!

Top Ad 728x90